Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞




Mafhoom-e-Hadees:

Hazrate Anas bin Malik (Raziallahu Anhu) bayan karte hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:

(Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki ‘Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?’

Main ne kaha : ‘Allah Ta’ala ne Pachaas (50) Namazein farz ki hai.

Unhone kaha ki ‘Apne Rab ki taraf waapas jaaye kyun ki aap ki ummat iski taqat nahin rakhti.’


pas unhone mujhe waapas lauta diya. (Meri darkhwast par) Allah Ta’ala ne unka ek hissa kum kar diya. Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ki taraf waapas gaya aur kaha ki ‘Allah Ta’ala ne ek hissa kum kar diya hai.’

Unhone kaha : ‘Apne Rab ki taraf phir jaaye kyun ki Aap ki Ummat me unki taqat nahin hai.’

pas mai waapas gaya tou Allah Ta’ala ne unka ek hissa kum kar diya. Main unki taraf aaya tou unhone phir kaha ki apne Rab ki taraf jaaye kyun ki Aap ki Ummat me in ki taaqat bhi nahin hai. mai wapas lauta tou (Allah Ta’ala ne) farmaya : Ye jahiran paanch 05 (Namazein) hain aur (Sawaab ke aitabar se) pachaas (50) (ke barabar) hain mere nazdik baat tabdil nahin huwa karti.

Main Hazrat Moosa (Alaihi Salaam) ke paas aaya tou unhone kaha : ‘Apne Rab ki taraf jaaye (aur mazid kami ke liye darkhwast kare)

Main ne kaha : Mujhe ab apne Rab se haya aati hai. phir Jibra’il (Alaihi Salaam) mujhe le kar chale yaha tak ki Sidrat-ul-Muntaha par pahunche jise mukhtalif rangon ne dhaanp rakha tha, nahin ma’loom ki woh kya hain. phir mujhe jannat me daakhil kiya gaya! jis me motiyon ke haar hain aur uss ki mitti mushk hai.”

Post a Comment

0 Comments